Thursday 13 October 2016

If Lighter Empty Or Broke Get Fire Easy Trick

Empty Lighter Get Fire Easy Trick
Agar lighter khatam hojaye ya tot jaye to aap isay phir bhi aag lagane keliye istemaal kar sakte hain intehayi asan aur mofeed tarika
 Lighter se aag lagane ka kaam liya jata hai aur agar ismai gas khatam hojaye ya tot jaye to kaise aag lagayi ja sakti hai aik 10 fet lambi lakri ka aisa tukra len jis par lighter phera ja sake ab lighter ko is lakri ke tukre par aram aram se istarah pheren ke ismai lakri ke tukre phans jayen ye lakri ke tukre baroodi mawaad ka kaam karenge ap dekhenge ke is lakri ke tukron par aag lag chuki hai is tarike se aap kharab lighter se bhi aag laga sakte hain


Mard Makhsos Bemari Mai Shikar

Mard Makhsos Bemari Mai Shikar
Mardon ki wo makhsos bemari jis ka shikar hone wale adhe mard doctors ke pas jane ki himmat nahi karte mahireen ne mardon ko bare khatre se khabardaar kardiya mardana baanj pan aik aam paya jane wala masla hai is se bhi bara masla ye hai ke about 50% mard alamaat zahir hone ke bawajod bhi doctors ke pas nahi jate jiska natija inki tawaqaat se zyada khatarnaak sabit ho sakta hai

Pakistan India Ka Jung Ka Khatra Tal Gaya

Pakistan India Ka Jung Ka Khatra Tal Gaya
Bharat ke sath jung ka khatra tal chuka khaarja policy durust simt jarahi india ne masood azhar ke khilaf koi saboot nahi diya sanitor sartaj aziz
Musheer khaarja sartaj aziz ne kaha ke bharat bagair saboot pakistan ko badnaam karne par tulla howa hai isi propaganda ke tehat bharat ne pakistan mai hone wali saarc sarbarah confrence mansookh karwayi pakistan aur china ke gehre taluqaat par magrabbi mumalik mai tashwish payi jati hai modi ki waja se bharat se taluqaat kharab hain

Azhar Li New Record Reach Saeed Anwar And Hanif Muhammed

Azhar Li New Record Reach Saeed Anwar And Hanif Muhammed
Azhar Ali 11 century bana kar saeed anwar aur hanif muhammed ke hum palla hogaye 50 matches mai zyada century banane wale 3 pakistani player ban gaye
pakistani team ke opening player azhar ali ne west indes ke khilaf day and night match mai shandar century banali ye inke carrier ki 11 century hai iske sath hi inho ne pakistan mai zyada se zyada centuries ka record bhi barabar kar diya jismai pehle saeed anwar aur hanif muhammed thai.

Monday 10 October 2016

Gas 36% Expensive In Pakistan

Gas 36% Expensive In Pakistan
Gas 36 feesad mehengi karne ki manzori awam ko 341 aram rupay ka jhatka lagega Sui nothern gas ki qeemton mai 57 rupay MMBTU izafa kardiya mulk bhar mai yaksa narkhon ki policy bahes sui southern ke saarfin keliye bhi gas mehengi

Mahira Khan Ko Film Raees Se Nikalne Keliye Dhamkiyan

Mahira Khan Ko Film Raees Se Nikalne Keliye Dhamkiyan
Bharti inteha pasand pagal hogaye Mahira khan ko bhi film raees se nikalne ki dhamkiyan dena shuru kardi
Bharti inteha pasand tanzeem MNS ne film raees banane walon ko bhi dhamkiyan dena shuru kardi aur mahira khan ko film se nikalne ka mutalba karliya tafsilaat ke mutabiq inteha pasand tanzeem ka kehna hai ke pakistani adakara mahira khan ko film raees se nikala jaye aur agar aisa nahi kiya gaya to wo film ko release nahi hone denge

Khawaja Asif Meets Turkish And Russia Saddar

Khawaja Asif Meets Turkish And Russia Saddar
Khawaja asif ki turk aur roosi saddar se mulaqatain wazir e azam ko kashmir mai bharti mulazim se bhi agah kiya
Defence minister Muhammad Khawaja Asif ne turk saddar rajab tayib ardogan aur roosi saddar vladimir putin se mulaqaat ki hai jab ke inho ne turk wazir e azam se bhi mulaqat ki aur inhe kashmir mai jari bharti muzalim se agah kiya.